Bodh ki varsha karne, Prabhu saamne khade hai,
Lekin yaha mere to, Sansaar ke khwaab bade hai,
Gyaani kahe jaa rahe bhai, May Day hai, May Day hai,
Aur main to maanta hu, jeevan ka har din Moh Day hai
Pehle is jeevan ko set kar lu, sukh ke jevar jo jade hai,
Budhaape me karege saadhana, abhi to kai saal pade hai,
Gyaani pukaar rahe hai bhai, May Day hai, May Day hai,
Aur main to maanta hu, jeevan ka har din Moh Day hai
Paisa Pratishtha zaruri hai, inke vikalp bhi to tagde hai,
Rishey naate na dekho to, alag sirdard aur jhagde hai,
Gyaani chilla rahe hai bhai, May Day hai, May Day hai,
Aur main to maanta hu, jeevan ka har din Moh Day hai
Ek bhav ke bhangur sukhme, aane wala anant bigde hai,
Ye sab Jaanu ya nahi jaanu, karm ke kanoon kade hai,
Gyaani phir se dohra rahe, May Day hai, May Day hai,
Kya main ab bhi ye kahu, jeevan ka ha
r din Moh Day hai?
No comments:
Post a Comment