Thursday, May 23, 2013

2. Kitne baras hue?

Har saal janam din aata hai,
Wahi sawaal har saal dohraata hai..
Kitney baras hue... ???

Na jaane kab,  ek aisa saal aayega,
Janam din k pehle ya baad ye nahi pataa,
Par us saal is hasti ka naamonishaan mit jaayega,
Aur ho jaayega Ye janam din manaane waala laapata..

Sawaal wahi rahega, pooch ne waala bhi nahi badlega,
Badlega wo bhi nahi jiske liye poocha jaa raha hai, badal jaayega wo jissey poocha jaa raha hai, aur badlega wo din, jab wah sawaal poocha jaayega...
Kitney baras hue... ???

Thursday, May 2, 2013

1. Roti.

Sabjiyaan badalti hai thaali me,
par roti ko badalne ki nahi kisime himmat,
itna mahatvapurna kirdaar hai roti ka par afsos,
nahi hai logo ko uski koi keemat.

Taarif hoti hardam sabji ki,
 roti to nivaale k saath chup chaap chali jaati hai,
dost! jis din roti nahi hogi thaali me,
dekhna kitni kathinaai se sabji khaayi jaati hai.