Hai Guru ki Roshni me wo Dam
Anant kaal ki Amavas ko karde Poonam
Lekin Guru aagna par chale bagair
Nahi mitega Moh Agnaan Bharam
Agle saal phir aayegi Guru Poonam
Kya tab tak kar paunga safal Janam
Peechle saal aur ye saal ke dauran
Kya aage badha hai ek bhi kadam?
Kaha pata hai kab tak chalega dam!?
Kya ruk sakta hu agle saal ki Guru Poonam?
Aaj agar Nirnay nahi le sakaa
To badhte rahege anantnunandhi Karam
No comments:
Post a Comment