Tuesday, June 16, 2015

3. Main nahi, Main wahi.

Jiska hota hai naam, woh main nahi...
Jo hota hai badnaam, woh main nahi...
Jispe di jaati jai lagaam, woh main nahi...
Jo banata hai kisiko ghulaam, woh main nahi...

Jo aata kisike kaam, woh main nahi...
Jo deta kaarya ko anjaam, woh main nahi...
Jissey banaa deti hai nishfalta aam, woh main nahi...
Jo peeta hai safalta k jaam, woh main nahi...

Jo ghumta hai desh, videsh, sthaan, woh main nahi...
Jo khaata hai swaadisht pakwaan, woh main nahi...
Jo pehenta hai vastra, kharidta hai saamaan, woh main nahi...
Jo rehne k liye banata hai makaan, woh main nahi...


Prithvi, Agni, Jal, Vaayu, Aasmaan, woh main nahi...
Ped, Pashu, Pankhi, Insaan, woh main nahi...
Jo ho jaata mitti k samaan, woh main nahi...
Jiska na mitey kabhi bhi nishaan, hun main wahi !!!

(Thanks Suchit for suggesting those prominent changes)

2. Am I?

Am I alive?
Am I awake?
Am I walking?

I got to ask these three questions to self every morning followed by thanking all those who are supporting me in getting a "Yes" to all the above questions, followed by a few minutes of introspective analysis.

Lively Mornings!!

1. Hun.

Dhoop Chaanv Barsaat me hun,
Har din, har raat me hun,
Chupki aur baat me hun,
Sukh dukh har haalaat me hun,

Khwaab aur khayaalaat me hun,
Junoon aur Jazbaat me hun,
Jeet me, maat me hun,
Tamanna ki kaaynaat me hun.

"Tu" nahi hun, tere saath me hun,
Pehchaan le agar, tere haath me hun.

Tan ka nahi, tan me hun
Mann ka nahi, mann me hun,

Jeevan me hun, jeevan nahi
Jeev hun, achetan nahi!!