Tuesday, June 16, 2015

3. Main nahi, Main wahi.

Jiska hota hai naam, woh main nahi...
Jo hota hai badnaam, woh main nahi...
Jispe di jaati jai lagaam, woh main nahi...
Jo banata hai kisiko ghulaam, woh main nahi...

Jo aata kisike kaam, woh main nahi...
Jo deta kaarya ko anjaam, woh main nahi...
Jissey banaa deti hai nishfalta aam, woh main nahi...
Jo peeta hai safalta k jaam, woh main nahi...

Jo ghumta hai desh, videsh, sthaan, woh main nahi...
Jo khaata hai swaadisht pakwaan, woh main nahi...
Jo pehenta hai vastra, kharidta hai saamaan, woh main nahi...
Jo rehne k liye banata hai makaan, woh main nahi...


Prithvi, Agni, Jal, Vaayu, Aasmaan, woh main nahi...
Ped, Pashu, Pankhi, Insaan, woh main nahi...
Jo ho jaata mitti k samaan, woh main nahi...
Jiska na mitey kabhi bhi nishaan, hun main wahi !!!

(Thanks Suchit for suggesting those prominent changes)

No comments: