Thursday, May 14, 2015

5. Subah-Shaam.

Subah se shuru hokar,
ho jaati hai shaam,
Zindagi yuhi bas,
ho jaati hai tamaam...

Kai dhan kamaate hai,
To kuch banate hai naam,
Adhiktar to bheed me kahin,
Reh jaate hai aam...

Mazey se jeena hai to,
Karna hoga itna kaam,
Bhool jaao daan aur seva,
Dhan hi Allah, Daulat hi Raam...

Bhaagne par na lage lagaam,
Phir hoga bas ek hi Anjaam,
Sukun ki Talaash me beetega jeevan,
Kabra me jaake milega Aaram!!!

Saturday, May 9, 2015

4. Sapna.

Tuta Sapnaa,
Chhuta Apnaa,
Palakein Mili,
Sab Fanaa!!

Sambandh Sanyog,
Nishchit Viyog,
Bhukamp Sailaab
Budhaapa Rog!!

Bhoot Gaayab,
Bhavishya Shaayad,
Purushaarth Ek,
Vartamaan Ab!!

Sab Mayajaal,
Beet-ta Kaal,
Khaai Kua,
Khudko Sambhaal!!

3. Niyati.

Kisine kiya paap,  
kisiko maar ke...
Phir bhi bachta raha,
Bina kisi aadhaar ke...

Seene me bhokne pe bhi,
Tukde hue talwaar ke...
To kisi ki jaan gayi,
Bimaari se na bagair hathiyaar ke...

Murk ko mili daulat,
Roti naseeb na hui Samajhdaar ke...
Saalon tak koi jhujhta raha,
Koi safal Hua bina takraar ke...

Ye sab main kyu keh raha hun??
Kya main bhi yehi seh raha hun??
Dusro ke tamashe me hota hun shaamil,
Apni daastan me kyu chup reh raha hun??

Sab apna kiya bhugat rahe,
Meri salaah nahi kaam ki sirkaar ke...
Laksh mera manzil ki taraf ho,
Jaana hai dur samandar paar ke!!

Tuesday, May 5, 2015

2. Saaheb Saacha Tu Dhani.

Saaheb saacha tu Dhani,
Main to hun Kangaal...
Kadam kadam par chal raha,
Keval ulti chaal.

Meri mati hui hai bhrast,
Tu hi mujhe sambhaal...
Tere naam ke siva main,
Aur naa jaanu Kripaal.

Aisa sujhaav de prabhu,
hata du main sab janjaal...
Nazdeek ka sukh kar dega,
Dur jaake mera bura haal.

Andhere me bhatak raha hun,
Beeta Anant kaal...
Chalna, daudna to hai mujhe hi,
Bas chahu teri mashaal!!!

1. Haasil.

Kitna kuch karne ke baad,
Kya hai maine kiya haasil?
Socha suchi lambi hogi par,
Ek labz likhne me ho rahi hai mushkil!

Dhan kamaya, naam banaya,
Kitna kuch hai ghar me shaamil,
Par kya kabhi kisi ka paaya,
Ashirwaad aur jeeta Dil.

Bheed se hatne ka hosla tha,
Par daudta raha wahi buzdil,
Raaste ka mazaa bhi nahi liya,
Patti baandhe taak raha manzil.

Aaj phir kuch aarzoo si hai,
Mann ko Kavita me kar raha hun tabdil,
Sawaal wahi hai, kaal alag hai
Kya main kuch karunga haasil??

Tuesday, April 21, 2015

4. Gehra.

Naa lamba hai, 
Naa seedha hai,
Naa chal raha hai,
Naa hi thehra hai...
Ye Raasta keval gehra hai!

Naa mushkil hai,
Naa aasan hai,
Naa surakshit hai,
Naa hi kisika pehera hai...
Ye Raasta keval gehra hai!

Naa dhoondhla hai,
Naa saaf hai,
Naa kaali raat hai,
Naa ujla savera hai...
Ye Raasta keval gehra hai!

Naa dhoop ki garmi hai,
Naa chaanv ki chaddar hai,
Naa kafan baadhe hue hai,
Naa hi sar pe Sehara hai...
Ye Raasta keval gehra hai!

3. Vichaar.

Vichaar nahi aate Soch Vichaar ke,
Kabhi bhi aate hai kisi bhi prakaar ke,
Agar aate vichar apni chaah ke,
To shayad hum chalte kisi aur raah pe,
Kaante ko hataane ki saazish na hoti,
Kaliyon ko khilaane ki khwaaish na hoti,
Vichaaro ki shrunkhala par kaabu rakh paate,
Vichaaron se upar utha nayi duniya me jaate
Kaash! Vichaar kuch der k liye hi rukte,
Hum apne kaarya ki orr jhukte,
Vichar karne se fal ka bhi sirf vichaar aata hai,
Samay aur kaarya dono haath se jaata hai,
Isiliye ab bahot hua vichaar pe vichaar,
Ab ki baar, karna hai ye janma saakaar