Raag aur Moh ke sang,
Mann ko karni thi yaari,
Atma bechara fas gaya
Aur pad gaya usko bhaari
Anant kaal se kar raha,
Moh, Raja bankar sawaari,
Bandhan gaadh hote rahe,
Lagaataar chotein mili karaari
Moh ne chaaro orr se,
Apni jaal bichaayi saari,
Majbuti se jakad leta jab,
Zara si karta chhutne ki taiyaari
Adhyatm se prerit hokar,
Jab mukti lagne lagti pyaari,
2-4 kadam wo lene deta,
Na dikhaata turant hoshiyari
Aatma ko milta sukoon,
Daudne lagti uski Ferrari,
Theek tabhi puncture karke,
Wo chalta apni chaal nyaari
Moh to vividh roop me aake,
Rakhega apne khel jaari,
Karm, Dharm dono me ghuske,
Nachaayega banke madaari
Anaadi ki hai yah gaatha,
Aur khelni hai kitni paari?
"Vivek" ko jagrut kar du to,
Mukti visa, le sakta is baari
(is baari = this manushya bhav)