Sunday, January 22, 2012

1. Khushi.

Jiske peeche bhaaga, wo kabhi haath nahi aayi, peecha chhodte hi peeche chali aayi,
ajeeb hai ye zindagi, ye zindagi ajeeb hai!!

Paise kamaane ki lat thi, khushi ke liye,
paise aaye par khushi naa aayi,
samajh nahi aaya ki khushi to kahin aur hai,
nahi paise me samaayi,
ajeeb hai ye zindagi, ye zindagi ajeeb hai!!

Pata poocha par pata naa chala,
ki khushi aakhir kise hai mil paayi,
milne waali cheez jo hoti,
saari duniya hoti usey dhondh laayi,
ajeeb hai ye zindagi, ye zindagi ajeeb hai!!

Zindagi se banti hai khushi, khushi se banti zindagi, kya is baat me hai kuch ghehraai,
bheetar hi hai khusiyon ka samandar,
par itni si baat samajh me naa aayi,
ajeeb hai ye zindagi, ye zindagi ajeeb hai!!

Jisne ehsaas kiya is khushi ka,
koi us-sey jaake pooche bhai,
par anubhav ki baat mukh se kaise kahe,
ye baat khud ki hai, nahi paraayi,
khushi ke liye to, karni hai swayam se sagaai, khush hai ye zindagi, ye zindagi khush hai!!

No comments: