kal hoga phir wahi savera,
suraj ugega, dhalega andhera!
wahi zindagi, wahi raftaar
din aur raat, wahi basera
kya kuch kami ka ehsaas hai?
ya karna kuch naya prayaas hai?
kis orr uthau kadam ye pata nahi
phir bhi ujwal bhavishya ki aas hai
bhavishya banta hai vartmaan se,
is pal me kiye gaye kaam se,
nahi karunga to main hi bhugtunga,
kya hoga shikayat karke awaam se?
aata hai avsar paanch saal me ek baar,
kar saku aane waale saalon ka nirdhaar,
main sirf main nahi, desh ka pratinidhi hun
Ab ki baar, main chununga sarkaar !!
|| JAI HIND ||
suraj ugega, dhalega andhera!
wahi zindagi, wahi raftaar
din aur raat, wahi basera
kya kuch kami ka ehsaas hai?
ya karna kuch naya prayaas hai?
kis orr uthau kadam ye pata nahi
phir bhi ujwal bhavishya ki aas hai
bhavishya banta hai vartmaan se,
is pal me kiye gaye kaam se,
nahi karunga to main hi bhugtunga,
kya hoga shikayat karke awaam se?
aata hai avsar paanch saal me ek baar,
kar saku aane waale saalon ka nirdhaar,
main sirf main nahi, desh ka pratinidhi hun
Ab ki baar, main chununga sarkaar !!
|| JAI HIND ||
No comments:
Post a Comment