Naa koi laksh hai,
Naa koi wajah,
Phir bhi hum bas jiye jaa rahe hai...
Naa koi wajah,
Phir bhi hum bas jiye jaa rahe hai...
Naa koi fal hai,
Naa koi faisla,
Phir bhi hum ek umeed liye jaa rahe hai...
Naa koi faisla,
Phir bhi hum ek umeed liye jaa rahe hai...
Naa isme swaad hai,
Naa chhip rahi pyaas,
Phir bhi hum is paani ko piye jaa rahe hai...
Naa chhip rahi pyaas,
Phir bhi hum is paani ko piye jaa rahe hai...
Naa baant rahe hai,
Naa bhugat rahe kuch,
Phir bhi hum paise ikattha kiye jaa rahe hai...
Naa bhugat rahe kuch,
Phir bhi hum paise ikattha kiye jaa rahe hai...
Naa Samajh hai,
Naa hai itni Shakti,
Phir bhi hum apni pehchaan diye jaa rahe hai...
Naa hai itni Shakti,
Phir bhi hum apni pehchaan diye jaa rahe hai...
Dur apno se ho rahe hai,
Tut rahe hai bandhan,
Naa jaane kaunsa dhaaga hum siye jaa rahe hai??
Tut rahe hai bandhan,
Naa jaane kaunsa dhaaga hum siye jaa rahe hai??
Naa koi laksh hai,
Naa koi wajah,
Phir bhi...
Naa koi wajah,
Phir bhi...
No comments:
Post a Comment