Likhta hun, ruk jaata tun,
Kudrat k aage jhuk jaata hun...
Kabhi mausam badalta hai, kabhi mijaaz,
Kho gaya hai kahin original andaaz...
Koshish kar raha hun usey laane ki,
Jo paas hai, usi ko paane ki...
Bheed me jo chhup jaati hai,
Wahi parchhaayi akele me sataati hai...
Maut ka saamna to nishchit hai,
Badnaseeb wo hai jo jeete ji ussey parichit hai...
Rukte likhte bas itna kehna hai,
Ye shabd nahi, aatma ka aaina hai...
Kisiki kavita adhuri rahegi, kisika ant me naam hoga,
Kuch farak nahi padta,
Sabka "Ek" anjaam hoga!!!
Kudrat k aage jhuk jaata hun...
Kabhi mausam badalta hai, kabhi mijaaz,
Kho gaya hai kahin original andaaz...
Koshish kar raha hun usey laane ki,
Jo paas hai, usi ko paane ki...
Bheed me jo chhup jaati hai,
Wahi parchhaayi akele me sataati hai...
Maut ka saamna to nishchit hai,
Badnaseeb wo hai jo jeete ji ussey parichit hai...
Rukte likhte bas itna kehna hai,
Ye shabd nahi, aatma ka aaina hai...
Kisiki kavita adhuri rahegi, kisika ant me naam hoga,
Kuch farak nahi padta,
Sabka "Ek" anjaam hoga!!!
No comments:
Post a Comment