Sunday, August 24, 2008

4. Paryushan (A Verse).

Aa rahe hai parvadhiraaj paryushan
Karvaane apne bheetar ka pradarshan
Sahi Samay hai karne ka swa-parikshan
Saaf kartey hue karmo ka pradushan

In dino, hota hai khub, seva,pooja, darshan
Saath saath hotey hai alochan aur pravachan
Par uske baad phir wahi sansar ka gharshan
Wahi moh-maaya aur baahar ka aakarshan

Kyon na is baar kuch aisa kare nirikshan
Bhoot-bhavishya bhool, jiye vartmaan kshan
Is kshan se mehenga nahi, hai koi aabhushan
Is tarah ka de hum, apne aap ko shikshan
Jeevan ho santusht, kartey hue aatma-sparshan

1 comment:

Ankur - The Beginning... said...

Zabardast hai aapka ye prakashan…
Insha-allah jaari rahega sabka atma-Nirikshan!
Karte rahein hum mano-manthan aur chintan…
Aur issi bhav mein ho jaaye atma-Darshan!