Thursday, May 14, 2009

2. Dincharya (Daily Routine).

Subah uthte ki Aaj Tak pe dhamaal
Aur phir Red FM pe Malishka ka kamaal

Sho-sha kartey hue bike pe 6 km ka safar
Tez raftaar se, 15 minute pe office me enter

Bombay times pe gossip ki bahaar
Chai tapri pe IT Industry ke samachaar

Waha se lautke ke karo mail-a-maili khoob
Kaam ke sivaa har cheez me jaao doob

Itne me bajti pet me bhookh ki ghanti tin-tin
Lunch ke liye sidhe pahuchna canteen

Post-lunch karna aankhen khol ke aaram
Kuch hi der me bajta 4 baje ka Tea-Alarm

Chai pe samay phir wahi chatar-patar
Aur plans banana, kya karege jaake ghar

Kuch plan naa bhi bane to doston se milna
Idhar-udhar ki baatein aur sadko pe khaana peena

Phir ghar aake TV Phone aur Internet me khona
Late night tak jaagke, complete thak se sona

No comments: