Paristhitiyon pe hasnaa chahta hun aur rona bhi
par ye sab sochta rahaa to zindagi sirf babaal hai
Is se to khud ko mana ke khush rehna me bhalaai hai
Kyonki, mere se to kai jyaada, laakhon log behaal hai
sab kuch galat mere saath ki kyon hota hai
kyon mere karmo ki hi tedhi chaal hai
par kya main apne baahar bhi jhaank ke dekhta hun?
Amir-Garib, lagbhag sabhi, 'Sukun' ke bina kangaal hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment