Apne astitva ko saabit karne me,
bitaata hai saara jeevan insaan,
Par astitva chhod, karib har cheez ki,
ho jaaati hai usey pehchaan,
Is tarah, ek din tab aa jaata hai,
zindagi ka wo aakhri makaam,
Mit jaati hai hasti,
reh jaata hai to sirf ek hi nishaan,
Jise leke wo chalta hai saari zindagi,
dubne deta nahi, bhale hi chhin jaaye praan,
Lag jaata hai jeevan ka saara samay banane me jisey,
reh jaata uske jaane pe, bas wo "naam"
No comments:
Post a Comment