Tuesday, September 6, 2011

1. Khabar.

Manzil ka thikaana nahi,
bas raha hun din raat guzar,
kaha jaana kuch pata nahi,
kaisa hai ye safar.

Apne aap ko naa pehchaane,
chhahee hai behoshi is kadar,
saans chal rahi hai, par jee raha
hun ya nahi ye nahi khabar.

Kab tak chalega aise,
is baat ki bhi nahi fikar,
maut ko dekhke bhi,
uspe se hat jaati hai nazar.

Marte hoge log saare,
par main to rahunga sada amar,
ye soch ke beet raha din mahina
saal, aur beetegi saari umar
:-(

No comments: