Ae dost! Teri Phat-ti kyun hai
Neeche Dharti hai, Upar Ambar hai
Phir tujhe kis baat ka Darr hai
Maana ki saal me ekaad baar, Aatanki ka Qahar hai,
Sarkaar kehti hai chinta mat kar, Surkakshit ye Shahar hai
Ae dost! Teri Phat-ti kyun hai
Neeche Dharti hai, Upar Ambar hai
Phir tujhe kis baat ka Darr hai
Yaha to bhai dawaaon me bhi, mila hua Zahar hai
Himmar na haar, yaha Duaaon ka bhi bada Asar hai
Ae dost! Teri Phat-ti kyun hai
Neeche Dharti hai, Upar Ambar hai
Phir tujhe kis baat ka Darr hai
Kaanon aur Nyaay ki kisiko kaha khabar hai
Haan! koi hai magar, jiski kadi nazar hai
Ae dost! Teri Phat-ti kyun hai
Neeche Dharti hai, Upar Ambar hai
Phir tujhe kis baat ka Darr hai
Aamdani zara si badhi par, mehengai ka aatank besabar hai
arre! tu kyu fikar kare hai, jab khaane ko roti aur rehne ko ghar hai
Ae dost! Teri Phat-ti kyun hai
Neeche Dharti hai, Upar Ambar hai
Phir tujhe kis baat ka Darr hai
In haalaton me kya hoga bhavishya me, iski mujhe fikar hai
Ye sab chinta chhod, kaha jeena hai jyaada, dhal rahi to umar hai
Ae dost! Teri Phat-ti kyun hai
Neeche Dharti hai, Upar Ambar hai
Phir tujhe kis baat ka Darr hai
No comments:
Post a Comment