Sunday, September 27, 2015

6. (Vi)Sarjan.

Prabhu! ek baar dil me aise aao,
Das-baara din me phir waapas naa jao,
Ek saal ki judaai bardasht nahi hoti,
Ab sada k liye mere Man-Mandir me samaao.

Waise kami koi mujhe me hi rahi hogi,
Warna mumkin nahi ki aap apne sarjan se dur reh paao.

Aap to gyaani, antaryaami ho phir,
Kyun nahi is naadan bhakt ko samjhaao.

Ab ki baar aisi bhool na karey ye murkh,
Aisa koi paath isey padhaao.

Aankhen moonde sadiyon se baitha hai,
Isko andhakar bhari neend se jagaao.

Iski chingaari aksar dab jaati hai,
Isme chetna ka shola bhadkaao.

Bhed ki chaal me bhatak gaya hai ye,
Haath thaam kar sahi raaste lagaao.

Prabhu! Ab ki baar dil me Kuch is tarah se aao,
Visarjan karke parampara ka, (apne sarjan me) sada k liye apna ghar banaao...

No comments: