Wishes from Suchit
Shashwat ko kshanbhangur ke liye,
De kya hi badhaai?
Jo ek din aa kar chala jaaye,
Uski kya kare duhaai?
Janmadin to anant aaye,
Ab ajanma ban jaao,
Yehi shubhechha sarthak hai,
Aur isi mein hai bhalaai.
Reply from Dilip
Kuch panktiyan aapne likhi,
Kuch laainey bayaan kare hum...
Pehle to Dhanyawad aapka,
Aapki shubhechha, bhari-bharkam..
Purusharth aur Prarthna,
Isme laana hai mujhe dum...
Har din is bhav me jahaan,
Ayushya ho raha hai kam...
Mehnat sahi disha me,
To ghat-te (lessen) rahege karam...
Avsar ye anmol hai agar,
Nahi chahiye adhik Janam...
Dhanyawad phir se ek baar,
Sahi waqt pe pheka aapne bam...
Tvara se ab ho jaaye,
Bijam se Ankuram
Aur Ankuram se Falam
No comments:
Post a Comment