Bande ko hona hai safal har kaam me
Usey chahiye har cheez waajib daam me
Uski khushi hai keval paise aur naam me
Dikhna hai usko sab se alag, avaam me
Iske liye, bhaagta hai wo, jee jaan se
dartaa nahi, bhook pyaas aur thakaan se
ek hi prarthana karta hai wo bhagwaan se
Jeeni hai usko poori zindagi aaraam se
'aaraam' shabd reh jaata hai jubaan pe
jaagta hai wo zindagi ki aakhri shaam pe
lutaa di poori zindagi, jis haseen anjaam pe
hoth bhi nahi pahuchte, bhare hue us jaam pe
ye sab baatein likhni bahut aasaan hai
kitaaben bhar ke shunya ka saamaan hai
us 'ek' ki khoj hi keval parinaam hai
baaki, zindagi jeyo na jeyo, sab samaan hai
------------------------------------------
Khud ki taarif karte hue apna ye bayaan hai...
Baat sirf faayde aur nuksaan ki nahi…
Baat sirf raah aur makaam ki nahi…
Jo baat dil se nikle usme hi mazaa hai…
Baaki to koi bhi baat kisi kaam ki nahi…
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment