Dilip exhibits his hypocrisy by writing -
Mujhe aisi jagah le jao…
Jaha naa ho cell, internet na ho email
Naa koi raftaar – bike gaadi na rail…
Naa koi bhaag daud, na koi jhanjhat
naa ye badi duniya, jo waakai me hai jail (well, jail lagti nahi hai wohi taklif hai :()
Mujhe aisi jagah le jao…
Jaha ho keval sacche anand ka khel
Khud aur Khuda ka ho aisa taal mel
Aisa jo jeevan ho, wohi saarthak hai
Warna is paribrhaman me, ek aur bhav fail :(
Mujhe aisi jagah le jao..
Jaha ant ho jaaye is bhav bhraman ka khel
Suchit replies with an eye-opener
Mat ro magar-machh ke aasoon,
Nahi hai tere til mein koi tel,
Daal-bhaat ki baat kya kare,
Tujhe chahiye sirf pizza aur bhel,
Badalnaa hai to yahi khud ko badal,
Warna kahegi duniya tujh ko bail.(bull)
Tujhe kidhar nahi jaane milega,
Kyo ki jaa kar tu banega bandar with tail !!
Thank you Suchit :)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment