Monday, August 26, 2013

2. Bheed.

laakhon ki tarah aankhon me sapne liye,
un sapno me shaamil, begaane aur apne liye,
        haan main is bheed me hun, yaheen hun!

kabhi sochta hun kuch alag sa karu,
auron ki tarah, kya sirf jiyu aur maru,
        kya main jo is bheed me hun, sahi hun?

socha bahut, aur ki baatein duniya ki sab,
bas nahi kiya wahi, jisey main kehta 'alag'
        Isliye saalon se is bheed me hun, waheen hun!

himmat kar us disha me rakhne jaate hi pehla kadam,
sawaal khada hota hai ek, aur reh jaata main tham,
        Bura kya hai jo is bheed me hun, khush hi hun!

bhaagta hi rahu zindagi bhar aur phir ek din,
aage badhte badhte, bheed me hi ho jaunga vilin,
        Phir kahaan is bheed me hun, nahin hun!

bheed me ek jagah khaali hogi..
par bheed tab bhi rahegi..
mere nikalte hi koi aur aayega.. 
wo bhi ye hi dohraayega..
        haan main is bheeed me hun, yaheen hun!

No comments: