Friday, December 6, 2013

1. Iraada.

Hosh sambhaala tab se aaj tak,
sab kuch haasil karne ko bhaaga,
pata nahi is jeevan me mera kya hai iraada!!

haasil karne ki khushi khoyi,
chahiye tha mujhe aur jyaada,
pata nahi is jeevan me mera kya hai iraada!!

jyaada milte hi hona tha poornta ka ehsaas,
par main to phir bhi raha adhura aadha,
pata nahi is jeevan me mera kya hai iraada!!

itna hone ke bawajood main adhura,
aisa vichaar bhi mann me nahi jaaga,
pata nahi is jeevan me mera kya hai iraada!!

naukri hi jad hai mere adhurepan ki,
vyaapar karne ki khwaish me mann mera laaga,
pata nahi is jeevan me mera kya hai iraada!!

khwaish aur parishram se maalik bana,
maalik bante hi ban na tha mujhe Raja,
pata nahi is jeevan me mera kya hai iraada!!

phir aaya vichaar ki sab se badi khushi,
milegi jab baj jaaye meri shaadi ka baaja,
pata nahi is jeevan me mera kya hai iraada!!

daulat, grishasthi aur maan sam-maan ye sab,
pahuchaane lagey meri shaanti me baadha,
pata nahi is jeevan me mera kya hai iraada!!

khushi jeevan ka uddeshya, phir bhi khushi ke liye
roz khud se karna pada hai waada,
pata nahi is jeevan me mera kya hai iraada!!!

wo waada bhi tod deta hun har roz aur ek din,
'jyaada' ki daud ke ant me, milta hai kafan saada
soch, dhadkan aur saansen nahi rahi sochne ke liye,
jeevan me mera kya tha 'iraada'!!!

No comments: