Tu meri hai..
Dil me tu basi hai,
Chahe paas hai ya dur hai,
Itna mujhe pata hai,
Tu saath mere zarur hai,
Yehi wajah hai, tu meri hai...
Bichadne ke gham me,
Kai aashiq majbur hai,
Bardasht nahi hogi phir bhi
Judaai mujhe manzur hai,
Pata hai, tu meri hai...
Tujhe lagega is bande ke andar,
Bhara pada gurur hai,
Par tere wajood ki wajah se,
Ye banta phira magrur hai,
Ehsaas hai, tu meri hai...
Mausiki ke kai taraane hoge,
Is dil me bajta ek hi sur hai,
Tera astitva na ho jisme,
Har wo sapna chur chur hai,
Haqeeqat hai, tu meri hai...
Tu meri hai!
Dil me tu basi hai,
Chahe paas hai ya dur hai,
Itna mujhe pata hai,
Tu saath mere zarur hai,
Yehi wajah hai, tu meri hai...
Bichadne ke gham me,
Kai aashiq majbur hai,
Bardasht nahi hogi phir bhi
Judaai mujhe manzur hai,
Pata hai, tu meri hai...
Tujhe lagega is bande ke andar,
Bhara pada gurur hai,
Par tere wajood ki wajah se,
Ye banta phira magrur hai,
Ehsaas hai, tu meri hai...
Mausiki ke kai taraane hoge,
Is dil me bajta ek hi sur hai,
Tera astitva na ho jisme,
Har wo sapna chur chur hai,
Haqeeqat hai, tu meri hai...
Tu meri hai!
No comments:
Post a Comment