Friday, May 18, 2007

2. Shaadi.

Shaadi - A Hindi Poem on Marriage

shaadi ke baare me, aapka kya khayaal hai ?
mere kunwaare dosto ka, ye mahatvapurna sawaal hai
koi kahe lajwaab, to kisi ka bura haal hai
is ajeeb si duvidha ne, kiya kunwaaron ko behaal hai

wo pooche, kya ye koi, jaadu bhara maaya jaal hai
ya phir koi sangeet jisme, madhur sur aur taal hai
kaheen koi dukhi hai to koi aur khus-khushaal hai
aur jo kal tha mauj me, aaj usi ke jhad rahe baal hai

main kahu, shaadi kya, saare jeevan me ye kamaal hai
sukh aur dukh ye to, samay ki gehri chaal hai
tu agar dekhe to, kain dhani log kangaal hai
aur kisi gareeb ki jholi me khushiyon ka maal hai

par shaadi ka anubhav, apne aap me be-misaal hai
do virodhiyon ka milan, ek talwaar aur ek dhaal hai
apne aap me gar lad pade dono, to jeevan me akaal hai
gar dono samajh ke rahe, to anand me guzre har saal hai.

No comments: