Wednesday, September 29, 2010

6. Khel.

Ayodhya me maidan banaao
ubharte hunar ka hosla badhao

Chhodo Jaativaad ke kaand-karm
Cricket hi hai bhaarat ka dharm

Court ke faisley se koi ek kom hogi naraaz
Kya yehi hai, sunhere kal ka aaghaaz?

Sab rahe khush aisaa karein upaay
mohobat ka rishta hai, sab ko miley nyaay

Mandir Masjid to bahot hai bhai
bhagwaan - bhakt ki to hai dil ki sagaai

Prarthana jo dil se nikle wo puri hai
phir ye sab vivaad kyon zaroori hai?

Is liye kehta hun, mandir masjid chhodo
in vivaado me beetenge saal, kharch hoge karodo

Stump thoko, balla ghumaao
Ayodhya me maidaan banao

Afsos....
Aaj Khel ban gaya hai dharm aur Dharm ek Khel
'Wo' hi jaane, insaano me hoga kab aur kaise mel
Hey Khuda, Yaa Bhagwaan, maaf karna tere bache ko
Ret (Sand) ko peel ke, usko nikaalna hai tel

No comments: