Monday, April 4, 2011

1. Sapna.

hum sapno me kho gaye,
khuli aankhon se so gaye...

socha tha, karna hai bahot kaam,
mann kiya, karle pehle thoda aaram,
manzil hai dur, safar hai lamba,
aaram karne se raah hogi aasaan...

hum sapno me kho gaye,
khuli aankhon se so gaye...

ek baar nikle to keval aage hai badhna,
rukna nahi mudna, oonchiyon pe chadhna,
ye sochke behal gaya mann, aa gaya josh,
manzil thi saamnne, na hua tha shuru chalna...

hum sapno me kho gaye,
khuli aankhon se so gaye...

sapne haseen, par beet raha samay,
aaj hi kal me bas le lena hai nirnay,
aisa sochte sochte aa gaya wo din,
mit gaya sab kuch, jab aaya pralay...

hum sapno me kho gaye,
band hui aankhen, hum so gaye...

2 comments: