Saturday, January 31, 2009
8. Talaash.
aaj kya kuch nahi hai mere paas
phir bhi rahi adhuri ye pyaas
kuch naya paane ke hai khwaab
hardin harpal badhti hai aas
aaj bhi hai mujhe...
...kisi cheez ki talaash
daudte bhaagte phool jaaye saans
rukna mujhe kabhi naa aaye raaz
paa kar sab hota dil baag baag
kho jaye kuch, ho jaata naraaz
aaj bhi hai mujhe...
...kisi cheez ki talaash
bhugatne ka samay hota barbaad
jama karne me juta, dil-o-dimaag
aise hi guzarte mahine aur saal
phir bhi dil se nikalti ek awaaz
aaj bhi hai mujhe...
...kisi cheez ki talaash
sab kuch haasil karne ke baad
gar kuch sadaa rehta janaab
naa hota dukhi naa koi sukhi
dukh ke ant pe hota sukh ka aaghaaz....
ye sab sochkar bhi, samay kar raha hun naash
kyonki, aaj bhi hai mujhe...kisi cheez ki talaash
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment