Thursday, August 23, 2007

8. Mumbai.

a small poem on great mumbai.

mumbai naam ki mayanagri lagti mujhko pyaari
iski shaano-shaukat hai, saare jag se nyaari
din me ye lage dulhan, raat me lage dulaari
iski sundartaa ke aage lage, fikki duniya saari

bhaat bhaat ke log rahe yaha pe, raja aur bhikari
dhanwaan aur nirdhan sab hai, lakshmi ke pujaari
koi ban-na chahe cheeta, sher to koi shikari
par sab bane hue hai bandar, aur taqdeer madaari

aisi hai mumbai nagri hamari...
par phir bhi lagti mujhko pyaari.

1 comment:

Anonymous said...

Thank you for your comment.